Yash Chauhan
Juno
更新时间:2025-05-26 10:37:57
文件格式:flac
Kya yahi zindagi
Kabhi muskurahat
kabhi gham ka hona
Thodi si khushi aur
thoda chhip ke rona
Is bheed mein bhi
ek man ka kona
Main hoon mujhi se
ya phir khilona
Kya yahi zindagi hai
Kya yahi zindagi hai
Kabhi zindagaani
lage ik kahani
Kabhi chehre kahein
kabhi sun zubaani
Kabhi sambhale se the
kabhi ki naadaani
Soorat hai wahi
seerat begaani…
Kya yahi zindagi hai
Kya yahi zindagi hai
Meri shikan pe tera muskuraana
tera Is anjuman ka kya hai fasaana
Tu bata…
mera shehar aur mera thikhana
Aaana…
Zakhmon pe mere tu marham lagana
tu aana
Tere baazuon ka
Woh garm bichona
Phir usmein mera
Woh thak ke sona
Kabhi man ke moti
khwaabon pirona
Kabhi thak ke kehna
hoga jo honaa
Kya yahi zindagi hai
Kya yahi zindagi hai
Kya yahi zindagi hai