O Dilbar Yaara - Stebin Ben&Harish Sagane

Stebin Ben

专辑:《O Dilbar Yaara》

更新时间:2025-05-29 07:31:15

文件格式:flac

网盘下载

O Dilbar Yaara - Stebin Ben&Harish Sagane 歌词

O Dilbar Yaara - Stebin Ben/Harish Sagane/Meer

Composed by:Meer

Kitne waade karte the tum

Sochun to dil bhar jaye

Aakhein fir nam ho jati hai

Yaar teri jab jab aaye

Naadan tha jo baaton mein teri

Aake dil ko haar diya

Jis dil ne chaha tha tujhko

Us dil pe kyun waar kiya

O dilbar yara o yara

Na milna dobara dobara

O dilbar yara o yara

Na milna dobara dobara

Apni besharmi pe tujhko

Aati hai kya sharam kabhi

Bichadne wale mujhko bata tu

Sach mein bichad kyun jata nahi

Apni besharmi pe tujhko

Aati hai kya sharam kabhi

Bichadne wale mujhko bata tu

Sach mein bichad kyun jata nahi

Naam-e-wafa pe tune yaara

Dhool hai jhoka aankhon mein

Seenche the jinmein pyaar ke paudhe

Aag laga di baagon mein

Meer tadapta reh gaya tere

Pairon pe tu palta nahi

Jitna acha tu banta hai

Utna bhi tu acha nahi

O dilbar yara o yara

Na milna dobara dobara

O dilbar yara o yara

Na milna dobara dobara

Taaro bhari raato mein hum jo

Saath tere rehte the kabhi

Jane ke bhi baad kyon tere

Raat wo ab tak guzri nahi

Taaro bhari raato mein hum jo

Saath tere rehte the kabhi

Jane ke bhi baad kyon tere

Raat wo ab tak guzri nahi

Tasveerein bhi teri saari

Maine jala to daali hai

Kaise karun main ishq ye fir se

Dil mein jagah na khaali hai

Ya to aake maar de mujhko

Ya yaadon se ho rukhsat

Hone lagi hai dil ko mere

Tere chehre se nafrat

O dilbar yaara o yaara

Na milna dobara dobara

O dilbar yaara o yaara

Na milna dobara dobara

Aaaaeeh

Woooo