Tajdar e Haram - Atif Aslam

Atif Aslam

专辑:《Coke Studio Season 8: Episode 6》

更新时间:2025-05-25 01:03:44

文件格式:flac

网盘下载

Tajdar e Haram - Atif Aslam 歌词

Tajdar-E-Haram - Atif Aslam (阿特夫·阿斯拉姆)

Written by:Hakim Mirza Madnee/Maqbool Ahmad Sabri

Qismat mein meri chain se jeena likh de

Doobe naa kabhi mera safeena likh de

Jannat bhi gawaarah hai magar mere liye

Ay kaatib e taqdeer madeena likh de

Tajdaar e haram

Tajdaar e haram ho nigaah e karam

Tajdaar e haram ho nigaah e karam

Ham ghareebon ke din bhi sanwar jaaenge

Haami ye be kasaan kya kahega jahaan

Haami ye be kasaan kya kahega jahaan

Aap ke dar se khaali agar jaaenge

Tajdaar e haram

Tajdaar e haram

Koyi apna nahin gham ke maare hain ham

Koyi apna nahin gham ke maare hain ham

Aap ke dar pe faryaad laaye hain ham

Ho nigaah e karam warna chaukhat pe ham

Ho nigaah e karam warna chaukhat pe ham

Aap ka naam le le ke mar jaaenge

Tajdar e haram

Tajdar e haram

Kya tumse kahoon ay' arab ke kunwar

Tum jaante ho man ki batiyaan

Dar furqat e to ay ummi laqab

Kaate nah kate hain ab ratiyaan

Tori preet mein sudh budh sab bisri

Kab tak yih rahegi be khabari

Gaahe ba figan duzdeedah nazar

Kabhi sun bhi to lo hamari batiyaan

Aap ke dar se koyi na khaali gaya

Aap ke dar se koyi na khaali gaya

Aap ke dar se koyi na khaali gaya

Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya

O apne daaman ko bhar ke sawaali gaya

Ho habeeb e hazeen

Ho habeeb e hazeen par bhi aaqa nazar

Warna auraaq e hasti bikhar jaaenge

Ho habeeb e hazeen par bhi aaqa nazar

Warna auraaq e hasti bikhar jaaen ge

Tajdar e haram

Tajdar e haram

Mai kasho aao aao madeene chalein

Madeene chalen

Madeene chalen

Madeene chalen

Mai kasho aao aao madeene chalein

Madeene chalen

Madeene chalen

Madeene chalen

Aao madeene chalen

Aao madeene chalen

Isi maheene chalen

Aao madeene chalen

Aao madeene chalen

Aao madeene chalen

Isi maheene chalen

Aao madeene chalen

Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein

Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein

Nigaah e shauq ki hai intiha madeene mein

Nigaah e shauq ki hai intiha madeene mein

Gham e hayaat nah khauf e qaza madeene mein

Gham e hayaat nah khauf e qaza madeene mein

Namaaz e ishq karenge ada madeene mein

Namaaz e ishq karenge ada madeene mein

Ba raah e raast hai raah e khuda madeene mein

Aao madeene chalen

Aao madeene chalen

Isi maheene chalen

Aao madeene chalen

Mai kasho aao aao madeene chalen

Mai kasho aao aao madeene chalen

Dast e saaqi ye kausar se peene chalen

Dast e saaqi ye kausar se peene chalen

Yaad rakkho agar

Yaad rakkho agar

Yaad rakkho agar

Yaad rakkho agar

Uṭ h gayi ik nazar

Jitne khaali hain sab jaam bhar jaaenge

Yaad rakkho agar uth gayi ik nazar

Woh nazar jitne khaali hain sab jaam bhar jaaenge

Tajdar e haram

Tajdar e haram

Khauf e toofaan hai bijliyon ka hai ḍ ar

Khauf e toofaan hai bijliyon ka hai ḍ ar

Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham

Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham

Aap hi gar na lenge hamaari khabar

Ham museebat ke maare kidhar jaaenge

Aap hi gar na lenge hamaari khabar

Ham museebat ke maare kidhar jaaenge

Taajdar e haram

Taajdar e haram

Ya mustafa ya mujtaba irham lana irham lana

Dast e hamah be chaara ra

Daamaan tu hi daamaan tu hi

Man' aasi yam man' aajiz am

Man be kas am haal e mara

Pursaan to ye pursaan to ye

Pursaan to ye pursaan to ye

Ay mushk bed' ambar fishaan

Paik e naseem e subh dam

Ay chaarah gar' eesa nafas

Ay moonis e beemaar e gham

Ay qaasid e farkhundah pah

Tujh ko usi gul ki qasam

In nalti ya reeh as saba

Yauman ila ard il haram

Balligh salaami raudatan

Feeh an nabi yul mohtaram

Taajdaar e haram ho nigaah e karam

Taajdaar e haram ho nigaah e karam

Ham gharibon ke din bhi sanwar jaaen ge

Haami ye be kasaan kya kahega jahaan

Haami ye be kasaan kya kahega jahaan

Aap ke dar se khaali agar jaaen ge

Taajdaar e haram

Taajdaar e haram

Taajdaar e haram